mohtaram qari hazraat ! is kaynat e hast
o bood k wajood mein aney k baad se Allah talaa ney apni makhlooq ko
apni marifat dena chahi. aik insaan jis maada aur bunyad aur wajhe
takhleeq hi neech aur napak cheez tha, wo kiunkar is qabil hota k
marifat e elahi k samundar mein ghota zan ho? wo kesy apni zaat ko is
qadar sawanrtaa k bargaah e azzawajal mein us ki tajallayun ko
bardaasht krta? kesy ye kam tar apney mabood ki azmatoon ki touseef
karta.
to rabb e kainat ni apni zaat o sifaat key jalo se insaan ko apni ma'rifat aur qurbat k liye ILM ki nemat bakhshi.
Ye alehda behas hey k ye llm konsa tha?
Wahbi, ilhaami, wijdani,
kitabillah ya phir kuch aur? Waqt subho sham aur hafton maheeno aur
saloon ka safar karta raha, Inhi lamhaat ki gardish mein allah ne
ambiyaa ko mab'oos farmaya, apney muhibeen ko mut'ayyan farmaya k meri
makhlooq tak meri muhabat aur mulaqat ki khabar puhnchao aur unhein us
youm e akhirat ki naveed do jb sb meri bargaah mein hazir hongey,
kuch logon ney isi ilm ki kunji se dolat
pai, kuch ni a'la khulq hasil kiya, kuch ne man sanwara, aur kuch ney
isey doulat e by baha jaan kar na sirf apney aap tak rakha balkeh isey
allah ki amanat samjhtey huwey mazeed tosee di aur zubaan e zadey aam
kia.
magar joo joo insaan apni zaat key
mehvar aur apni gardish e auqat aur apney nafs k muamloo mein ulajhta
gaya aur sirf aur sirf isi mien gum hota gaya wesy wesy wo ilm wo doulat
wo khazana jo zuban o zade aam tha simat'ta simat'ta sirf qaloob ki
chaar dewaryun mein ghir kar reh gaya.
aik khaas baat kehney wala hun k phir
wo ilm esa chupa k hazrat abu hurera ne farma deya ko mujhey Nabiye
Akhiruz Zaman (saw) ne do ilm ataa farmaye hein aik wo jo mein hadees ki
soorat mein tum sab ko bayan karta hun aur aik wo jo mein kisi ko nahi
batata agar mein wo ilm bayan kar doon to tum log mujhey jaan se maar
do. ab sochye wo konsa ilm tha? jo ham tak barahey raast to na punhcha
choonkeh ab us ilm ka maskan sirf qaloob they, ab mera wijdaan yeh kehta
hey key wo ilm jis ko mein ilm ey ladunni b samajhta hoon wo ilm , ilme e jafar tha.
jo adam as se chalta huwa nooh se agey barha ibhraheem ki zuban se ada
huwa aur apney tamam tar manazil aur muqamat ko tey karta huwa akhir
kaar amanat waley nabi Hazrat Muhammad saw tak puncha, apney is ilm ko
apney bhai ALI ra ki jhooli mein dala un se chal kar imam zain ul
abideen tak aya, uskey baad se iska bayan tazkara bilkul haq daroon aur
aqrabaa, qurbat daroon aur mureedon tak ruk gaya. chonkey is ilm se
marfiat elahi sirf allah ki raza se do qadam hoti hey.
(magar dhayan rahey is ilm ko hasil
krney key baad amal karney se pehly apni rooh ko dhoodh se sufaid aur
paak tar krna aur mushk se zayada khushboo dar karna zaroori hi nahi
balkeh shart e awal hey.)
ab se inshallah mere rab ko manzoor huwa
to ilm e jaffar ki regular class hogi, jiska k ye pehla lecture hey,
mein sab cheezein sabqan sabqan likhon ga, keh jisko usi tarah yaad krna
aur dil o dimagh mein samona aap ka kam hey.
amliyat mein har amal chahey wo hamzad
ka ho, muakkalat ka ho, haazirat ka ho, ayaat e mubaraka ka ho, apna
sabaq ya azeemat ya jo b apney parhna hey, wo parhai tayar karna, waqt
ka tayyun karna, tadaad nikalna, bohat se zarooriyaat esi hoti hein jo
keh sirf ilm e jaffar se hi poori hotei hein. maslan aik hamzad ka amal
eisa hey key jis mein apney naam k a'daad nikal kar usi taadad mein aik
makhsoos azeemat makhsoos tadaad mein parhna hoti hey. jis mein k hamzad
21 youm mein haazir hota hey aur muahida kar k tabaidaree mein aajta
hey. bahar haal , aaj jaffar key pehley sabaq key taur par mein apko
haroof yani haroof e tahajji ki tarteeb aur unki taadad nikalney ka
tareeqa batata hun.