mohtaram qari hazraat ! is kaynat e hast
o bood k wajood mein aney k baad se Allah talaa ney apni makhlooq ko
apni marifat dena chahi. aik insaan jis maada aur bunyad aur wajhe
takhleeq hi neech aur napak cheez tha, wo kiunkar is qabil hota k
marifat e elahi k samundar mein ghota zan ho? wo kesy apni zaat ko is
qadar sawanrtaa k bargaah e azzawajal mein us ki tajallayun ko
bardaasht krta? kesy ye kam tar apney mabood ki azmatoon ki touseef
karta.
to rabb e kainat ni apni zaat o sifaat key jalo se insaan ko apni ma'rifat aur qurbat k liye ILM ki nemat bakhshi.
Ye alehda behas hey k ye llm konsa tha? Wahbi, ilhaami, wijdani, kitabillah ya phir kuch aur? Waqt subho sham aur hafton maheeno aur saloon ka safar karta raha, Inhi lamhaat ki gardish mein allah ne ambiyaa ko mab'oos farmaya, apney muhibeen ko mut'ayyan farmaya k meri makhlooq tak meri muhabat aur mulaqat ki khabar puhnchao aur unhein us youm e akhirat ki naveed do jb sb meri bargaah mein hazir hongey,
kuch logon ney isi ilm ki kunji se dolat pai, kuch ni a'la khulq hasil kiya, kuch ne man sanwara, aur kuch ney isey doulat e by baha jaan kar na sirf apney aap tak rakha balkeh isey allah ki amanat samjhtey huwey mazeed tosee di aur zubaan e zadey aam kia.
magar joo joo insaan apni zaat key mehvar aur apni gardish e auqat aur apney nafs k muamloo mein ulajhta gaya aur sirf aur sirf isi mien gum hota gaya wesy wesy wo ilm wo doulat wo khazana jo zuban o zade aam tha simat'ta simat'ta sirf qaloob ki chaar dewaryun mein ghir kar reh gaya.
aik khaas baat kehney wala hun k phir wo ilm esa chupa k hazrat abu hurera ne farma deya ko mujhey Nabiye Akhiruz Zaman (saw) ne do ilm ataa farmaye hein aik wo jo mein hadees ki soorat mein tum sab ko bayan karta hun aur aik wo jo mein kisi ko nahi batata agar mein wo ilm bayan kar doon to tum log mujhey jaan se maar do. ab sochye wo konsa ilm tha? jo ham tak barahey raast to na punhcha choonkeh ab us ilm ka maskan sirf qaloob they, ab mera wijdaan yeh kehta hey key wo ilm jis ko mein ilm ey ladunni b samajhta hoon wo ilm , ilme e jafar tha. jo adam as se chalta huwa nooh se agey barha ibhraheem ki zuban se ada huwa aur apney tamam tar manazil aur muqamat ko tey karta huwa akhir kaar amanat waley nabi Hazrat Muhammad saw tak puncha, apney is ilm ko apney bhai ALI ra ki jhooli mein dala un se chal kar imam zain ul abideen tak aya, uskey baad se iska bayan tazkara bilkul haq daroon aur aqrabaa, qurbat daroon aur mureedon tak ruk gaya. chonkey is ilm se marfiat elahi sirf allah ki raza se do qadam hoti hey.
(magar dhayan rahey is ilm ko hasil krney key baad amal karney se pehly apni rooh ko dhoodh se sufaid aur paak tar krna aur mushk se zayada khushboo dar karna zaroori hi nahi balkeh shart e awal hey.)
ab se inshallah mere rab ko manzoor huwa to ilm e jaffar ki regular class hogi, jiska k ye pehla lecture hey, mein sab cheezein sabqan sabqan likhon ga, keh jisko usi tarah yaad krna aur dil o dimagh mein samona aap ka kam hey.
amliyat mein har amal chahey wo hamzad ka ho, muakkalat ka ho, haazirat ka ho, ayaat e mubaraka ka ho, apna sabaq ya azeemat ya jo b apney parhna hey, wo parhai tayar karna, waqt ka tayyun karna, tadaad nikalna, bohat se zarooriyaat esi hoti hein jo keh sirf ilm e jaffar se hi poori hotei hein. maslan aik hamzad ka amal eisa hey key jis mein apney naam k a'daad nikal kar usi taadad mein aik makhsoos azeemat makhsoos tadaad mein parhna hoti hey. jis mein k hamzad 21 youm mein haazir hota hey aur muahida kar k tabaidaree mein aajta hey. bahar haal , aaj jaffar key pehley sabaq key taur par mein apko haroof yani haroof e tahajji ki tarteeb aur unki taadad nikalney ka tareeqa batata hun.
0 comments:
Post a Comment
If you like this post, please pray for Us.
love to hear from you! Leave Us a comment.
For any Question, problem, or permission please Follow Us On Whats App
+923456082939